Every Type of Poetry Is Here

Sunday, January 28, 2018

Choota Jo Tera Hath, To Hum Toot Ke Roye

Choota Jo Tera Hath, To Hum Toot Ke Roye
Tum Jo Na Rahe Sath, To Hum Toot Ke Roye

Chahat Ki Tamanna Thi Aur Zakhm Diye Tum Ne
Paayi Jo Ye Saughat, To Hum Toot Ke Roye

Imkan Na Tha Door Talak Tajdeed-E Taluq Ka
Dekhe Jo Ye Halat, To Hum Toot Ke Roye

Anjan The Hum Ab Tak Dard Ki Soorat Se
Hui Jo Mulaqat, To Hum Toot Ke Roye

Jeeti Thi Sada Hum Ne Har Bazi Tere Sath
Tanha Jo Sahi Maat, To Hum Toot Ke Roye

Logon Ne Bahut Pocha Sabab Veerani-E Dil Ka
Jab Ho Na Saki Baat, To Hum Toot Ke Roye

Thi Dhop Bahut Tez Har Simt Judai Ki
Barsi Jo Na Barsaat, To Hum Toot Ke Roye

Zadd Mein Tha Khizaon Ki Ab Ke Dil-E Barbad
Bichray Jo Shajar-Pat, To Hum Toot Ke Roye

Din Bhar To Rahe Chup, Ki Duniya Ki Nazar Thi
Bhegi Jo Siyah Raat, To Hum Toot Ke Roye

Samjha Tha Sada Tujh Ko Apna Hi Koi Hisa
Tukroon Mein Batti Zaat, To Hum Toot Ke Roye

Hum Karte Rahe Aaj Talak Uss ‘Chand’ Ki Khawahish
Yaad Aayi Jo Auqaat, To Hum Toot Ke Roye...!!


1 comment: