Every Type of Poetry Is Here

Sunday, January 28, 2018

Barsoon Ke Bad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa



Barsoon Ke Bad Dekha Ek Shakhs Dilruba Sa
Ab Zehan Mein Nahin Hai, Par Nam Tha Bhala Sa.

Abro Khinchay Khinchay Se, Ankhain Jhuki Jhuki Si
Batain Ruki Ruki Si, Lehja Thaka Thaka Sa.

Alfaz Thay Ke Jugnu Awaz Ke Safar Mein
Ban Jaye Jangaloon Mein Jis Tarah Rasta Sa.

Khawaboon Mein Khawab Uske, Yadon Mein Yad Uski
Neendon Mein Ghul Gya Ho Jaise Ki Rat-Jaga Sa.

Pehle Bhi Log Aye Kitne Hi Zindagi Mein
Woh Har Tarah Se Lekin Auron Se Tha Juda Sa.

Kuch Ye Ki Muddaton Se Hum Bhi Nahin The Roye
Kuch Zehar Mein Ghula Tha Ahbab Ka Dilasa.

Phir Yun Hua Ki Sawan Ankhon Men A Base The
Phir Yun Hua Ki Jaise Dil Bhi Tha Abla Sa.

Ab Sach Kahen Toh Yaro Hum Ko Khabar Nahin Thi
Ban Jayega Qayamat Ek Waqiya Zara Sa.

Tewar The Be’rukhi Ke, Andaz Dosti Ka
Woh Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Ashna Sa.

Hum Dasht The Ki Dariya, Hum Zehar The Ki Amrit
Na’haq The Zam Hum Ko, Jab Woh Nahin Tha Pyasa.

Humne Bhi Usko Dekha Kal Sham Ittefaqan
Apna Bhi Hal Hai Ab Logo ‘Faraz’ Ka Sa .!!

No comments:

Post a Comment